Thursday 6 March 2014

Pick Pocket Brother...



“Bus se utar kar Pocket mein
haath daala Main shock ho gya
Meri pocket kat chuki thi..
.
.
Pocket mein tha bhi kyaa..?? Bas 150rs aur
ek khat..Jo maine
apni maa ko likha tha ke meri
naukari Khatm ho
gayii hai.. abhi paise nhi bhej
paaunga..
3 din se… wo post card meri pocket mein
pada tha..
Post karne ko mann nhi kar
raha tha..
Waise toh 150rs koi bada
amount nhi tha lekin jiski
naukari chali gayi ho uske liye 150rs…
1500rs se kam nhi
hote..
Kuch din guzre..
Maa ka khat mila.. Padhne se
pehle main seham gaya.. Zarur
paise bhejne ko likha hoga… Lekin khat
padhkar main
shock ho gyaa..
Maa ne likha tha:”Beta, tera
500rs ka bheja hua money
order
mil gya hai.. Tu kitna acha hai..Paise bhejne
mein kabhi laaparvaahi nhi
karta…
Main issi soch mein pad gya k
aakhir money order kisne
bheja hoga…?? Kuch din baad..
ek or letter mila..
Badi bekaar handwriting thi..
badi mushkil se padh paaya..
Us mein likha tha…”Bhai 150rs
tumhare aur 350rs apni aur se milakar
maine tumhari maa
ko..
money order bhej diya hai…
Fikar na karna..
Maa toh sabki ek jaisi hoti hai
naa.. Wo kyun bhukhi rahe..??”
Tumhara:”pick pockter bhai..
Moral:”Aadmi chahe jitna bhi
bura kaam kyu na karta ho
MAA ke
liye feelings sab ki ek jaisi hoti hain…
“there is always goodness in
every person, it just needs to
toucheD…

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...